Wednesday, November 11, 2009

Kishore Kumar "The Legend"


Main Baat kar raha hoon Hindustan ke us mahan kalakar 'Abhas Kumar Ganguly' ki jo filmi duniya me Kishore Da ke naam se jane jate hain, isme main apko bataoonga Kishore Da ki zindagi ke kuch khatte meethe Pehloo ke bare me.

Kishore da ka janm 1 August 1946 ko Madhya Pradesh ke Khandva Village me hua tha.

Kishore bachpan se hi bade shararti or manmoji the, lekin snget me unki roochi shuru se hi nazar aati thi or wo mahan gayak K.L.Sehgal ke andaz me gate gungunate reht the.

Ghar me sabs chote Kishore Da ki poori mauj masti rehti thi.

Kuch bade hone par wo apne bade bhai Ashok Kumar ke sath Mumbai chale aaye or naye naam Kishore Kumar se apni pehchan banai.

Kishore Da ne pehla gana "Marne ki duayen kyun mangu" film Ziddi me gaya jo sangeetkar Khemchand Prakash ke dwara gawaya gaya unke carrer ka pehla gana tha.

Kishore Da ka man chanchal to tha hi, bade bhai Ashok Kumar kehte the actor bano magar unka jhukav to gayaki ki taraf tha.

Kishore Kumar ne kabhi zindagi me sangeet ki shiksha nahi li.

Yahi wajha thi ki Salil Chaudhary sahab Kishore Da se gavane se katrate the, lekin ek bar jab unhone unki awaz suni to jo gana wo Hemant Da se gawana chahte the wo gana unhone Kishore Da ki awaz me record kiya jo "Chota sa ghar hoga" tha.

Ab tak film industry me apne bade bha Ashok ki madad se Kishore Da ek accha mukam or shohrat hasil kar chuke the. Or uske baad to as an actor kai film unke naam thi jaise 1957 me "New delhi or Asha", 1958 me "Chalti ka naam gadi", 1961 me "Jhumru", 1962 me "Half ticket",

Unki ye films aaj bhi pasand ki jati hain.

Agar sahi artho me kahe to Kishore Da ke fun ko pehchanne me or unki gayaki ko age badhane me mahan sangeetkar Sachin Dev Barman sahab ka sabse bada yogdaan tha.

Ek bar Sachin Dev Barman jab Ashok Kmar ke ghar gaye or unhone Kishore Da ko K.L.Sehgal ki awaz me gungunate suna to Kishore Da ko mashwara diya ki wo gayaki me khud apna andaz banayen, or Kishore Da ne us mashware ko behad sanjeedgi se liyaor ek naya andaz paida kiya jo "Yudling" ke naam se jana jata hai.

Halaki Yudling ki shuruaat film industry me Swar Samrat Mohammad Rafi sahab ne "Hello sweeti seventeen, O chale ho kahan dil ke aaine me, or Unse rippi sippi ho gayi" jaise gano se.

Lekin Kishore Da ne Youdling par apni chaap chod di jise aaj tak kai gayak karne ki koshish kar rahe hain or karte rahenge.

Sabse alag nirala Kishore Da ka andaz sabko pyara tha or rahega.

1954 se 1965 tak Barman sahab ke chahete singer koi or nahi balki hamare Kishore Da hi the, or us samay ke sabhi gane aaj bhi tarotaza lagte hain.

S.D.Barman sahab ki 1957 se 1962 ke doran jab swar kokila mahan gayika Lata ji se kuch narazgi thi tab unhone Kishore Da or Asha Bhosle ke saath hit gane record kiye jo ki aaj bhi bemisaal hain

Us samay ke behatreen sangeetkar C Ramchandra bhi Kishore Da ki gayaki se impress hue or unkii awaz me geet record kiye jisme "Ina mina dika" itna superhit hua ki aaj bhi sangeet samaroh ki jaan hai.

1960 se 1970 tak Kishore Da ne nayi film produce ki, unki pehli film as a director, actor, producer or singer thi "Jhumru", sirf chulbuli comedy film se hatkar unhone serious film ki "Door gagan ki chaon me"

Lekin Qismat ka sitara hamesha buland nahi rehta kabhi kabhi wo saath chor deta hai 1960 ke baad ki films ne accha business nahi diya or wo thoda sa diqqat me nazar aaye.

1960 ke doran apni masti or manmoji mijaaz ki wajah se Kishore Da ne kai directors ko bhi naraaz kiya, unka set par let aana unki ek adat si ban gayi thi isse juda ek qissa yaad aata hai.

Ek producer ne tang aa ka court se order karaye ki Kishore ji wahi karenge jo director chahega, Us director ki film me mannoji Kishore Kumar sahab ko gadi chalane shot dena tha to wo gadi chalate chalate khandala pahunch gaye or poochne par kaha ki director ne cut to kaha hi nahi.

Ab unke paas unke kuch acche gane to the lekin apni in adaton ki wajha se unki films accha business nahi kar payin, magar iske bawajood bhi unka deewanapan jari raha.

Ab samay aaya 1970 ka jab Kishore Da ne shohrat ki bulandi ka asmaan choo liya, ye wo dor tha jab Sachin Dev Barman ke sahabzade Rahul Dev Barman ne sangeet ki duniya me qadam rakkha.

Or is Jodi yani R.D.Barman or Kishore Da ki awaaz ne milkar kai super hit gane diye.

jaise:- Ye jo muhabbat hai or Lekar hum deewana dil adi adi.

1970 se 1980 ke doraan duniya ko apni gayaki se madhosh kar chuke Kishore Kumar ne film banana nahi chori, unhone 1978 me Badhti ka naam darhi, 1980 me Door wadiyon me kahin jaisi films banayi jinhone accha business nahi kiya or Kishore Da zindagi ke safar me khatti meethi yado ke saath age badhte rahe.

"Zindagi ke safar me guzar jate hain jo maqaam wo phir nahi aate"



"Zindagi pyar ka geet hai ise har dil ko gana padega".

Kishore Da ne apne samay ke ashoor muzic director Laksmikant Pyare Lal ke saath bhi kai superhit geet diye, jaise film do rasta ke liye "Mere naseeb me e dost tera pyar nahi" or Mr. X in Bombay ka ye geet "Mere mehboob Qayamat hogi".

Khud naraz ho jana or khud maan jane ki ada ke chalte Kishore Da ne ek bar Amitabh Bacchan ke liye gana chor diya kyunki unhone Kishore Da ki film me guest apperience ke liye mana kar diya tha or phir apne aap hi dosti kar li or unki film Toofan ke liye geet gaya.

Isme koi shaq nahi ki kishore da har qirdar ke liye apni awaaz ko dhaal lete the jaise Amithabh Bacchan, Dev Anand, Rajesh Khanna, Mithun Chakrobarty jaise superhit kalakaron ke gano apni awaaz se nikhara.

Kishore Da ki gayaki me kahin na kahin ek udaas man jhankta hai shayad unki personel zindagi me sukoon nahi tha apni zindagi me unhone chaar shadi ki-

Pehli patni Rooma Ghosh thi jinka beta Amit Kumar hai, 8 saal tak chale is bandhan ke tootne ke baad Kishore Da ne bollywood ki mashoor khoobsoorat adakara Madhubala se court marriege ki,

dusri shadi ka sfar 9 saa tak chala, Madhubala ji Kishore Da ko akela chor kar is duniya se chali gayi, iske baad inki zindagi me yogita bali aayi ye kishore da ki zindagi me chaar saal rahi. Akhri jeewan saathi Leena Chandrawakar ke roop me mila. Shayad zindagi ka yahi pehloo unki dard bhari awaaz me saaf mehsoos hota hai.

"Mere mehboob qayamat hogi aaj ruswa teri galiyon me muhabbat hogi"

"Teri duniya se hoke main majboor chala main bahut door bahut door chala....."

Apne 60 se le kar 70 ke period ke sabhi kalakaro ko apni awaaz dene wale awaaz ke jadoogar Kishore Da ne 1980 ke Yuva kalakar Anil Kapoor ke liye bhi gana "Zindagi aa raha hoon main" record kiya.

Kishore Da 1980 ke dor me apni sehat ki wajha se retired ho kar apne village Khandwa me jane ke liye soch hi rahe the ki 13 Oct 1987 me kewal 58 saal ki umar me sangeet ka ye sitara apne chahne walo ko apne gaye geeto ke sahare chorkar hamesha hamesha ke liye alvida keh gaya. Kishore Da is duniya se rukhsat zaroor hue lekin chor gaye hamare liye apne gaye wo geet jo hamesha hamare dilo me unhe zinda rakhenge. Aaj bhi kai kalakar unke andaaz ko apnate hue gayaki me apna carrier bana rahe hain. or jab bhi ye kalakaar unke gaye geeto ko unhi ke andaaz me apni awaaz me gate hain to Kishore Da ki yaad tazi ho jati hai.

The Beginning.